Sharafat soz Tasveeron ki Uryani nahi jati
Adab ki Aarr mn Targheeb-e-Roomani nahi jati
Khuda maloom Nasl-e-Nau ka kya Anjam hona hai?
Watan se Fahash Naghmon ki Farawani nahi jati
Azaab aaye to us mn Senkron ki
jaan jati hai
Nahi jati to Shetanon ki shetani nahi jati
Kaheen Basti ki basti Boond pani ko Tarasti hai
Kaheen Baarish brasti hai to Tughyani nahi jati
Jahan k Zarray zarray se Numaya hai Jalal us ka
Mgr hum se Khuda ki Zaat Pehchani nahi jati
Zamana is Qadar Qaayal hua hai FAIZ jhooton ka
Jo Sach kehte hn un ki aik bhi Maani nahi jati....!
Friday, 28 February 2014
Monday, 24 February 2014
Chor Jaon ga
Bhulany se jo Bhulay Na Vo kahani chor Jaon ga
Zamany Me teri
Ankhon Me pani chor jaon ga
Lipat kr dair Tuk dar-o-diwar se Log roynge
Me aisi sog me lipti jawani chor Jaon ga
Mitao gay kahan Tak Tum Meri yaden meri baten
Me har 1 mor pr apni nishani chor jaon ga
Mery ye lafz mr k b mujhy marny nai denge
Me chup ho k b Lehjey ki rawani chor jaon ga
Kuch is tarha se Niklu ga teri Dunya ko Thukra kr
Me dushman k b chehray pr herani chor jaon ga..

Apni Aankhon Mein Teray Khuwab Sajanay Wala
Apni Aankhon Mein Teray Khuwab Sajanay Wala,
Ab Yahan Koi Nhi Tujh Ko Mananay Wala!
Kya Say Kya Ab Teray Halaat Huway Jatay Hain,
Waqt Achha Nhi Lagta Mujhay Aanay Wala!
Meray mehboob tu LAILA ki larri say na sahi,
Par mera ishq hay MAJNOO k gharane wala!
Mein Na Kehta Tha Badal Jaye Ga Aakhir Tu B?
Bha Gaya Hay Na Tujhay Rung Zamanay Wala!
Chhor Jatay Hain Sabhi Raah Mein, Lekin Mohsin.
Youn B Jata Hay Koi Chhor k Janay Wala.....?

Chashm-e-saqi
Chashm-e-saqi ne ye kya khel racha rakha hai,,
Koi zahid, koi maikhaar bana rakha hai..
Jo phansa phir na kabi us ne rehai mangi,,
Teri zulfon ne ajab jaal bicha rakha hai..
Rukh pe lehrati hain, kabi shaanon se ulajh parti hain,,
Tu ne zulfon ko boht sar pe charha rakha hai..
Teri makhmoor nigahon se hai ronaq saari,,
Wrna ay saaqi tere maikhanay me kya rakha hai..
Husn ho, ishq ho donon ka asar yaksaan hai,,
Cheez hai 1 mgr nam juda rakha hai..
Meri nazron me koi kaisay jachay ga Mohsin,,
Nisbat-e-yaar ne mujhy maghroor bana rakha hai...!

. . .SHAYAD. . .
. . .SHAYAD. . .
Wo ek masoom si chahat
Wo ek benam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mujhe mehsus hota hy
Wo mery pas hy ab b
Wo jab jab yad ata hy
Nigahon me samata hy
Zuban khamosh hoti hy
Magr ye ankh roti hy
Main khud se poch leta hon
Jise main yad krta hon
Usay kya pyar tha mujh se?
Jwab "han" soch leta hon
Usay b pyar tha Shayad
Isi "Shayad" se wabasta hy ab to hr khushi meri
Yahi ek lafz "Shayad" ban gya hy zindgi meri..

Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe
''Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe !
''Tare hathon ki khoshbo mare hathon main aaj bhi hai !
''Ye or baat hai majboreyon ne nebhane na di dosti !
''Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai !
''Mohabat say barh kr tum say aaqedat hai mujhay ay dost !
''Yon maqam tera boland sab doston main aaj bhi hai !
''Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon
tujhe !
''Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi ha.
Usne Chaha
Usne Chaha to Chahaton Ki Hadon Se Barh Kr,,
.
Kehta Tha Haath Na Chorna Tufano Se Darr Kr,,
Phir Khud He Tordia Wo Ta'aLLuq Zindagi K Ik Morr Par,,
.
Aaj Mene Pucha to Kehta Hai Wo Lamha Tha Jo Guzar Gya Kinaron Ko Torr Kr,,
.
Khud He Ro Parra Wo Ik Zindagi K Morr Par,,
.
Or Keh Gya Tm Kisi Or K HoJao Mje Chhorr Kr,,
.
Me Hasrat Se Dekhta Raha Usay Apne Haathon Ko Jorr Kr,,
.
Or Wo ChL Parra Meri Wafaon Ko Chhor Kr,,
.
Magr Me Krunga Intezar Un Lamhaat Ko Phir Se Jorr Kr,,
.
Kbi To Hoga Usay b Ye Ehsas K Kisi Ne Chaha Tha Usay Dunya Ko Chhor Kr.

Subscribe to:
Posts (Atom)